Mujhe raat mein kaam karna zyada pasand hai - I am a night owl!
Hello doston,
Mujhe computers aur video games ka bachpan se bahot zyada shaunk tha.
Main 11/12 baje tak raat ko video games khelta tha jab main school mein tha.
Mere father is behaviour ko bilkul pasand nahi karte the.
Kayi baar wo directly computer ka plug socket se pull kar dete the and wo mujhe bilkul bhi acha nahi lagta tha.
Kayi baar to isi chakkar mein mera PC kharab bhi ho gaya.
11th class mein maine apne father se zidd karke 1st floor apne liye le liya and wahan privately rehna laga.
Jab maine akela rehne laga to maine realise kiya ki main ek night own hoon.
Din mein meri energy down rehti hai and night mein meri energy peak karti hai.
Jab meri summer vacation hoti thi to maine subah 5/6 baje sota tha and then 2 baje dopahar mein uthta tha.
Raat ko mein video games khelta tha, movies dekhta tha, blogging karta tha, technology ke bare mein padhta.
Raat mein life bahot achi lagti thi and din mein bahot buri.
Jab mere exams hote the, tab main kabhi kabhi all-nighters bhi maar leta tha and pass ho jata tha.
Phir ek baar meri software engineering ke theory exam mein backlog aa gayi i.e. compartment.
Uske bad maine din mein bhi padhta start kiya and todu phodu marks score kiye.
Aaj main almost 9 years se job kar raha hoon.
Din mein kisi tareeke se apna kaam nikal leta hoon lekin actually mein mera creative dimaag raat mein activate hota hai.
I think ye mera secret power hai and isi secret power se pehle maine wizardjournal.com ko banaya tha and ab kuch aur banaunga future mein.
Comments
Post a Comment