10th aur 11th ki studies ke level mein zameen aasmaan ka farak hai!
Hello doston,
Jab mujhe 11th mein science stream mil gai to main bahot khush tha.
Main hamesha se ek scientist ban-na chahta tha aur mujhe laga ki ab main real science padhunga aur maza aayega.
Lekin sachai isse bahot door nikli.
Chahe maths ho ya science, bharat mein practical application ya interesting way mein kuch nahi padhaya jata, bas ratwaya jata hai.
Jab maine studies start kari 11th class ki to mujhe laga ki main ye easily kar loonga.
Jitna main 10th mein padha karta tha, usse kaam ban jayega, lekin aisa nahi hua.
Mujhe koi guide karne wala nahi tha. 9th mein maine self-study se 81.4% score kia tha, to mujhe laga ki main 11th mein bhi 70-75% score kar loonga aur 12th mein tuition le loonga.
Aur ye meri sabse badi galti thi.
10th aur 11th ki studies mein zameen aur aasmaan ka farak hai.
Summer vacation ke pehle sirf 1-1 chapter karaya har subject mein, aur summer vacation ke bad, sirf 1 month mein teen aur chapter karwa diye har subject ke.
Har chapter sar ke upar se gaya aur kuch bhi samajh nahi aaya.
School teachers ko bas apna syllabus complete karwane se matlab hota hai. Sab teachers ye janti hain ki bache tuition to lete hi hain. Agar koi gadha, mere jaisa, tuition nahi leta, to uska to fail hona banta hi hai.
Ye baat mujhe unfortunately kisi ne bhi nahi batayi, isiliye main future generation to bata raha hoon.
To 11th mein meri studies bahot suffer hui because of lack of discipline and guidance.
Mujhe achi tarah yaad hai ki mere first term mein 7, 8 and 9 marks aye the out of 25.
7 in maths, 8 in chemistry and 9 in physics.
Wo saal meri studies ke liye bahot tough tha, because pass hona hi mushkil pad raha hai maths mein.
Last mein maths ka ek repear exam bhi diya tha, jiske bad hi mujhe 12th mein promote kiya gaya.
Moral of the story ye hai ki agar aap 11th mein science lene ka soch rahe ho, to ye yaad rakhna ki exam ke 1-2 week pehle padh ke marks nahi aayenge, pass hona bhi mushkil ho sakta hai.
Isiliye ya to daily 2-3 hours self study karna seekh lo, ya fir at least tuition to laga hi lo jahan tumhe spoon feed karke aur ratta lagwa ke, at least, pass karwa dia jaye.
Comments
Post a Comment