Maine itne saare paise kamane ke bad bhi, apne standard of life ko improve nahi kara

Hello doston,

Aap manoge nahi, lekin main bahot hi poor living conditions mein rehne laga tha in my 11th and 12th standard.

Freedom thi, privacy thi, comfort bhi tha, but kamra kitchen store bani hui thi.

Toilet mein mitti aati thi.

Second room mere parents ne as a large store use kiya hua tha, jisme 30-40 saal purana kachra pada.

Bas first room mil rakha tha mujhe and usme bhi meri mummy ke dahej ka bed tha, without any mattress.

2-3 razai bicha ke as a mattress use karta tha main and ek razai winters mein apne upar odh ke so jata tha.

Ache pillows bhi nahi the, purani kapde ki leeron se bane hui pillows the.

Kehne to hum shayad lower middle class the, lekin meri mummy bahot hi low class logon ki tarah rakhti thi mujhe.

Ab meri mummy ki death ho chuki hai, to kisi guzre hue bande ki burai nahi karni chahie, lekin jo sach hai, wo sach hain!

Mera study table naya tha, so that was great.

Mera computer and computer table naya tha, so that was great.

And room mein naya desert cooler tha, so that was great.

And 2 chairs thi, wo bhi new thi.

To mostly main computer ke saamne hi apne din aur raatein bitata tha and bas wo aawaz karte hue purane bed par, bas sone ke time jata tha.

Us gande setup se meri back mein bhi pain hone laga tha.

Maine apne father ko bola ki naya bed le do, ya phir naya mattress le do, lekin mere father ne nahi nahi leke diya.

Phir jab maine paise kamane shuru kare, to ideally mujhe wo basic cheezen purchase karni chahiye thi, lekin maine nahi kari.

Maine 25000 ka naya netbook khareeda, lekin 10000 ka naya bed nahi khareeda, aur 5000 ka naya mattress tak nahi khareeda.

Pata nahi, shayad, aise ho gaya tha ki mujhe lagta tha ki main ek achi aur comfortable life shayad deserve hi nahi karta, kyunki mere mother and father mujhe itni gandi conditions mein raise kar rahe the.

Main aaj ek 3 crore ke 4 BHK + S flat mein rehta hoon, 4 bed hain ghar mein with their proper mattresses, lekin aaj bhi mere father low class behaviour ko exhibit karte hain.

Aaj dekha maine, unka body towel, ek dum 5-7 jagah se fat rakha tha and jab wo toilet se bahar nikle to aadhe nange ho rakhe the.

Maine bola unhe ki change karlo na, itni bhi kya kangaali? to kehte hain ki han badal loonga aur is towel ko pocha bana loonga.

Maine kaha ki ye pocha banne ke bhi layak nahi hai!

And phir usse aage maine force nahi kiya.

But ye low class mindset and low class behaviour bahot negatively impact karta hai psychology ko.

To main to ab ye sochta hoon ki, luxury expenses aur unnecessary expenses ko avoid karo, lekin necessary expenses par to definitely paisa kharch karna chahie.

Comments

Popular posts from this blog

Nagarro Tried to Settle Me in Business Intelligence (BI) and DevOps

I Met a Lot of Fake People at Nagarro

10th aur 11th ki studies ke level mein zameen aasmaan ka farak hai!