Kaise mujhe ek friend ke appraisal se Nagarro mein jalan hui
Hello doston,
Nagarro mein mera first year zyada acha nahi raha tha.
Pehle meri Golang mein training hui, phir .net mein and finally Java mein project mila.
Around first 8 months tak main bas training kar raha tha. Mera ek bhi line of code production par nahi gaya tha.
First year ke bad jab mera appraisal hua to mujhe 30% hike mila, jo ki bahot hi acha tha.
Honestly, main kaafi khush tha.
Lekin jab mujhe pata chala ki mere baki batchmates ko 58% hike mila hai to main bahot zyada upset ho gaya.
Isme sabse badi galti to ye hai ki hum apna CTC ek dusre ke sath share kar kyun rahe the?
Ek strong jealously ki feeling aayi apne friends ke new CTC ko dekh kar aur maine HR se meeting setup karli.
HR ne mujhe bahot bure tareeke se treat kiya jaise ki main bheekh maang raha hoon.
Wahan meri ego trigger ho gayi and main market mein jake 7.5 LPA CTC ka offer le aya.
Wo offer bangalore ka tha to main nahi gaya, lekin us offer ke basis par maine Nagarro mein apna CTC revise kara liya.
Nagarro mein har saal yahi drama hota tha. Jitna bhi acha kaam karlo, appraisal dete time hamesha Nagarro disrespect hi karti thi.
Isiliye after 3 years, maine finally Nagarro mein resign kar diya and I have never looked back.
Comments
Post a Comment