Abhi sapna aaya: Main school mein ek dost se baat kar raha tha

Hello doston,

School mein mera dost tha, let's not name him.

Mujhe starting mein wo zyada pasand nahi tha kyunki wo bahot popular tha and rich bhi tha.

Mere marks usse zyada aate the aur mujhe lagta tha ki log mujhe bhaav kyun nahi dete, usko kyun dete hain.

Uske paas 3 qualities thi jo mere paas nahi thi: -

1. wo good looking tha

2. wo rich tha

3. wo bahot funny tha

Mujhe bahot jealously hoti thi usse and main chahta tha ki wo mar jaye.

Phir 5th class mein maine us friend circle se doori bana li and ek naya friend circle form kar liya - the geek squad!

The geek squad ne mujhe bahot support kiya till 8th class.

Lekin main bahot harami nikla, 9th class mein jab maine thoda weight lose kiya, and english gaane sunna shuru kiya, to mujhe thodi attention mili cool kids se and maine geek squad ko chhod diya.

9th se lekar 12th tak maine cool kids ke sath hangout karne ka try kiya. Jab patla tha, to easily mix ho jata tha, jab mota ho gaya to aisa laga ki main cool kids mein spot deserve nahi karta.

Wo mera friend us time tak cool kid nahi fool kid bana gaya tha. Ek ladki ke chakkar mein usne apni self esteem zero kar li, chutiya to wo tha hi, maha chutiya ban gaya and aaj bhi max level ka chutiya hai wo.

Mercedes chalata hai, 4-6 international vacations par jata hai every year, but baat karo to pata lagta hai ki ek number ka chutiya banda hai.

Wo sapne mein aya and apni bakchodi kar raha hai.

Mujhe wo starting mein cool lagta tha and kahin na kahin main uske mooh se apni tareef sunna chahta tha ki main kitna acha friend hoon.

Ab sach to ye hai ki usko maine apni life and friend list se delete kar diya hai.

Lekin main use friend manne laga tha and kaafi time sath mein spend kiya, to shayad wahin se wo regret issue ho rahi hai dream ke through, ki kis chutiye ko dost bana liya, aise chutiyon ko to bilkul friend nahi banana chahiye.

Comments

Popular posts from this blog

Nagarro Tried to Settle Me in Business Intelligence (BI) and DevOps

I Met a Lot of Fake People at Nagarro

10th aur 11th ki studies ke level mein zameen aasmaan ka farak hai!