WizardJournal.com par pehle youth content post karta tha, phir tech content

WizardJournal.com maine bahot passion ke sath start kiya tha.

Jaise is blog par main dil ki baatein likh raha hoon, vaise hi us blog par main apne dil ki baatein likha karta tha.

Maine apne school ke doston ko bola mere blogs padhne ko.

Kuch ko wo blogs pasand aye, kuch ko nahi aye.

Lekin traffic bahot saara aya tha us blog par.

2-3 months ke month ke bad ek point aisa aya ki mere paas content khatam ho gaya likhne ko aur maine tech news and products ke baare mein likhna start kar dia, kyunki mera bahot zyada interest tha us samay gadgets mein.

Usse bahot saare views aur paid posts vagerah ki requests ane lagi aur main 2-3K rupees mein paid posts daalne shuru kar diye.

Each month, mujhe 5-10K rupees freelance writing se milte the, aur around same amount mere blog se milne lage, to mujhe to bahot maza aane laga life mein.

Jo kuch bhi mujhe buy karna hota tha, main infibeam.com ya flipkart.com se jake order kar lete tha and 2-3 din ke andar wo mere ghar par aake deliver ho jata tha.

Us samay india mein online shopping utni zyada prevalent nahi thi, isliye meri family bhi kaafi surprised thi itna sab samaan dekhke.

Maine apni mummy ko bhi kuch ghar ki cheezen leke di thi jaise ki electric iron, microwave oven and mobile phone. Father ko kuch nahi leke diya tha because wo bahot zyada akdu hain and ulta pulta bolte the mujhe ki ye teri haram ki kamayi hai.

Mujhe bahot gussa ata tha apne father par is bar ko sun kar.

Tech blogging karne se meri tech ki knowledge bhi kaafi improve ho gayi aur maine apne friend kunj ke sath milte quiz competition mein part lena start kar dia.

Quiz competition mein kayi baar hum log jeete bhi the aur bahot achi feeling aati thi bade bade school ko harakar.

Main to ek normal AGDAV naam ke school mein padhta tha lekin maine quizzes mein montfort, DPS, Amity international, aise bahot saare ache school ko beat kia hai.

To ye feeling bahot pride wali thi meri liye.

Tech blogging mein us time bhot content mil jata tha mujhe because bahot saari companies apne products launch karti thi aur bahot innovation ho rahi thi.

Bahot maze wala time tha wo!

Comments

Popular posts from this blog

Nagarro Tried to Settle Me in Business Intelligence (BI) and DevOps

I Met a Lot of Fake People at Nagarro

10th aur 11th ki studies ke level mein zameen aasmaan ka farak hai!