Thoda ghamand to vaise mujhme bhi aa gaya hai jabse maine success taste kari hai

Hello doston,

Main ek middle class family mein born hua tha.

Phir mere father ne ek bad property khareed li, jiske rates hi nahi badhe time ke sath.

Life ke expenses badhte gaye and mere father ki saari income un expenses ne consume kar li.

Early 2010s mein, meri family middle class se gir ka lower middle class mein aa gayi.

Wo to maine blogging se kamana shuru kar diya tha, to maine car khareed li, varna definitely lower middle class hi judge karti society.

Wo property ko bechna bahot mushkil pada humein.

Humne uska rate lagaya tha about 45 lakhs, lekin wo 28.71 lakhs ki biki, which was a big blunder to our net worth.

8 years approx maine IT industry mein apni G ghiswa kar kaam kia aur apna CTC badhaya.

Maine basic 3.5 LPA se start kiya.

First company mein 2 years mein 8 LPA tak pahoncha.

Fir first switch kiya at 13 LPA.

Fir second switch kiya at 19 LPA.

First third switch kiya at 42 LPA (ye sabse bada switch tha meri life, in terms of money, life bana di Arcesium ne, lekin in terms of stress and workload, jeene ki iccha hi khatam kar di thi Arcesium ne).

And abhi most recent switch was done at 50+ LPA.

Matlab maine kabhi life mein bhi nahi socha tha ki itni jaldi, itna success mujhe mil jaega.

Is income ko maine faltu cheezon par kharch nahi kiya.

Ek acha ghar lena, bachpan se mera sapna tha, aur maine wo sapna pura kiya.

Maine 2 crores mein 4 BHK flat khareeda, jiski aaj value 3 crores hai.

Obviously, 90 lakhs ka home loan liya iske liye - but still yar, bahot proud wali feeling hai apne liye.

Aur ek aur baat par proud hoon main apne character se, ki jab mujhe Arcesium mein mere manager aur SVP ne pressurise karne ki koshish kari, to maine daba nahi, lada!

Bilkul yoddha ki tarah lada - a trait which is so rare in the Indian corporate scene!

I mean India mein log apne manager aur SVP se darr ke rehte hain because job change karna itna difficult hai.

Lekin agar main sahi hoon, to main jhuk nahi sakta, job zarur change kar sakta hoon aur maine wohi kiya.

To because mere attitude aur meri success mujhe kafi jaldi mil gai life mein, to isse mujhme thoda ghamand to aa gaya hai.

Par mujhe lagta hai ki aaj kal ke competitive, capitalism driven duniya mein thoda self confidence ya thoda narcissism ya thoda arrogance to needed hai, varna log khel jate hain bhai!

But jab ye thoda zyada hone lagta hai, to main apne aap ko apne roots ke bare mein yaad dilata hoon and grateful hoke ishvar ko thank karta hoon, to usse cheezen kafi balance ho jati hain.

Comments

Popular posts from this blog

Nagarro Tried to Settle Me in Business Intelligence (BI) and DevOps

I Met a Lot of Fake People at Nagarro

10th aur 11th ki studies ke level mein zameen aasmaan ka farak hai!