Nagarro mein mujhe first technology Golang assign hui thi
Hello doston,
IT service based company ki mujhe ye baat bilkul achi nahi lagti, ki wo log bina developer ke interest ko samjhe project assign kar dete hain.
Maine apni training coding blocks se java mein complete kari thi. Maine apna interview bhi java mein hi diya tha. Java mujhe bahot ache se aati thi, aaj bhi badia se aati hai, lekin nagarro ko Golang mein development karwani thi to unhone mujhe Golang ki training mein daal diya.
Golang ki training bhi koi professional way mein nahi hui thi.
Ek project chal raha tha Golang ka, usi ke team lead ne Golang ke 8 assignments ke through humein Golang ki training di thi.
DSA to mera acha hi tha to obviously maine Golang to 2-3 weeks mein pick up kar diya and usme coding karna start kar diya.
Wahan hum Golang mein web servers banate the, jin servers se IoT devices communicate kiya karti thi.
Wo project USA ka tha, to mujhe laga ki agar main is project mein ache se kaam karunga to mujhe USA jane ka mauka milega, lekin jo kismat mein nahi hota, wo kabhi nahi milta.
Us project mein requirement khatam ho gayi, ya fir us project ka budget khatam ho gaya and 2-3 mahine ke bad mujhe bench par daal diya gaya.
Actually .net ki full stack training mein daal diya.
Comments
Post a Comment