Nagarro mein maine 16 level up badges jeete
Hello doston,
Main Nagarro mein kuch time tak bench par tha.
Mere paas koi kaam nahi hua karta tha to maine Nagarro ke level-up program mein part liya.
Wahan par MCQ type quizzes hoti thi and maine 3 din mein 16 badges clear kare the.
15 explorer badges and 1 voyager badges.
Isse kaafi confidence aya mujhe ki maine multiple technologies ko samajh sakta hoon aur ek polyglot hoon.
Polyglot wo hota hai jo multiple languages bolta hai, lekin tech ke context mein polyglot wo hai jo multiple technologies mein kaam kar sakta hai.
And I am definitely a polyglot.
Mujhe java, kotlin, python, javascript, typescript, in sab languages mein code karna aata hai.
Vaise ab ye skill koi khaas useful nahi hai kyunki chatgpt se aap ek language ka code dusre language mein likhwa sakte ho.
Comments
Post a Comment