Nagarro ki training mein maine kuch dost banaye

Hello doston,

Nagarro ek IT service based company hai jo ki kaafi freshers ko hire karti hai.

Ab freshers job ko bhi college experience ki tarah hi treat karte hain. Vaise bakiyon ka mujhe nahi pata, lekin main to nagarro ko ek college social experience ki tarah hi treat karne laga tha.

Jitne bhi log training mein mere sath the, ya fir meri team mein the, ya mere account mein the, unko main friend manne laga tha.

Lekin corporate mein koi dost nahi hote, bas allies hote hain and ye mujhe kaafi painful experience ke through samajh aya.

To maine almost sabse achi baat karni start kar di thi and sabko friend manne laga tha.

Jo bhi mann mein hota tha, wo sabke sath share karne laga tha and is tareeke se mere kuch ache friends ban gaye the.

Phir mujhse ek mistake ho gayi and maine ek friend ko kuch aisi baatein bol di, jo shayad mujhe bilkul bhi nahi bolni chahie thi, especially in a corporate setup.

Bas, hona kya tha, meri usse ladai ho gayi and us ladai ki goonj baki friends tak bhi pahonch gayi and mere liye office ka environment kaafi negative ho gaya.

Mujhe laga ki mujhe ye job chhod deni chahie aur kisi aur company mein job dhoondh leni chahie, but mere paas ache skills nahi the.

Mujhe 6-8 months ho gaye the company mein kaam karte hue, lekin maine koi aisa badhia skill nahi seekha tha jiske liye mujhe aage market mein samne se offer aa jaye.

Ek company ka interview maine crack bhi kar liya tha, lekin wo mujhe fresher role par hi hire kar rahe the aur agar main use join kar leta to mera 6-8 ka work experience 0 ho jata.

Wo long term mein mere career ke liye theek nahi tha, to isiliye maine nagarro mein hi suffer karne ka decide kiya.

Main us friend ko close friend manne laga tha. Mujhe laga ki jo meri mistake thi, wo meri immaturity ki tarah perceive hogi and baatein failengi nahi, lekin corporate mein logon ko life bahot boring hoti hai and any type of kalesh is chai time gossip for them, to baatein kaafi logon tak faili and usse main kaafi hurt hua.

Aur us time par mere pehle ke friends, yani ki schook ke and college ke, apni apni lives mein busy the and maine unse share bhi kiya but emotional damage resolve nahi hua.

Finally us instance ne mujhe itna zyada hurt aur damage kar diya ki uske bad main bahot life mein practical ho gaya and maine kisi ko bhi apna friend manne se bilkul inkaar kar diya.

Uske bad se sab logon ko main "acquaintance" wali bucket mein daala and kisi ko bhi close friend banne nahi diya.

Wo din hai, aur aaj ka din hai, almost 8-9 saal ho gaye hain us baat ko, lekin main bilkul bhi kisi ko utna close friend nahi maan sakta.

Sab dost hain, lekin maze maze wale!

Comments

Popular posts from this blog

Nagarro Tried to Settle Me in Business Intelligence (BI) and DevOps

I Met a Lot of Fake People at Nagarro

10th aur 11th ki studies ke level mein zameen aasmaan ka farak hai!