Mujhe nagarro ka brightest mind award bhi mila tha and onsite ki bhi baat start ho gayi thi
Hello doston,
Kyunki meri performance bahot achi thi, to mujhe mere director ne brightest mind award ke liye recommend kiya and wo award mujhe mil gaya.
Main bahot khush tha us award ko lete samay and us time mera roka bhi ho gaya tha to maine apni fiance ko bhi wo photo bheji.
She was also very happy on my success.
Phir june/july mein onsite log jaane wale the mere project se and usme mera naam bhi tha.
Maine onsite ke liye photos bhi click karwa li thi and apne sab documents bhi submit kar diye the.
But lekin phir mera patta kaat kar, team ke dusre logon ko, jo ki mujhse se senior the, unko bhej diya onsite.
Mujhe bahot bura feel hua, lekin tab tak main thoda mature ho gaya tha aur maine ladai nahi kari.
Maine bahar interviews dene shuru kar diye and mujhe 13 LPA CTC ka package offer ho gaya ek product based company se, jiska naam tha Airtel Payments Bank.
Us samay online interviews nahi hote the, offline interviews hote the. Main office se chhuti lekar Airtel ke office gaya interviews ke liye. Interviews thode mushkil the because DSA ke ache questions puche the unhone, lekin maine apne logically skills se unko impress kar diya.
Airtel ne mujhe ek acha offer diya and I was ready to resign.
Maine jab apne manager ko bola ki mujhe job change karni hai to wo hakka-bakka reh gaya.
Wo manager sach me bahot acha tha, intelligent and smart, to usne mujhe samjhaya ki yaar kuch hi months mein tera yahan bhi appraisal ho jaega, to bahar mat ja, because eventually teri salary plateau kar jayegi.
To jis company mein starting se kaam kar raha hai usi mein continue kar le.
To maine kaha theek hai, aap mujhe 15 LPA CTC de do, main ruk jaunga, to he said, aise thodi hota hai.
Maine kaha ki aapne mera kaam dekha hai, aur aapko ye pata hai ki mera output normal se double hai, aur jab ek company bina mera kaam dekhe mujhe 13 LPA CTC offer kar rahi hai to aap mujhe 15 LPA CTC to de hi sakto ho.
To manager ne bola ki director se baat kar lo.
Director se jab baat hui to usne kaha ki main max 11.5 LPA CTC kar doonga, wo bhi November mein, to tune rukna hai to ruk ja, varna resign kar de.
Usne kaha ki tujhe onsite bhi main bhej raha tha lekin team mein seniors hai, agar tujhe unse pehle bhej deta to mere relations kharab ho jate unke sath.
To main mann mein socha ki bhai tum apne relations aur politics dekh lo, main chala bahar, ek product based company mein.
Maine resign kar diya and Airtel ko join kar liya.
Airtel ki story, next post mein.
Comments
Post a Comment