Mujhe 8 quarters mein back to back A+ ratings mili thi
Hello doston,
IT service based companies mein har quarter mein aapko rate kiya jata hai aapki performance ke basis par.
A+, A, B+, B, C - ye 5 ratings mein se koi ek aapko milti hai.
A+ ka matlab hai ki aapne bahot todu phodu kaam kiya hai.
A ka matlab hai ki aapne badia kaam kiya hai.
B+ ka matlab hai ki aapne average kaam kiya hai.
B ka matlab hai ki aapne below average kaam kiya hai aur aapko apni performance better karne ki zaroorat hai.
Aur C ka matlab hai ki aapne bahot hi bekar kaam kiya hai and aapko ye company chhod deni chahie.
To mere initial kuch quarters mein mujhe A rating mili, lekin jabse maine rockstar performance deni shuru kari apne kaam mein, to uske baad mujhe A+ ratings milne lagi har quarter mein aur mujhe us appreciation ki lat lag gayi.
Main hamesha yahi try karne laga ki main best to best kaam kar ke doon.
Us samay main single tha, na koi girlfriend, aur na koi shaadi ka vichar, to maine apna poora samay apne kaam ko, aur paise badhane ko de diya.
Mujhe nagarro ne NAGP program mein bhi daala jisme maine new technologies ko learn karna shuru kiya.
Sab kuch badiya chal raha tha lekin appraisals mein phir nagarro kanjoosi karti thi.
2018 mein maine bahot hi todu phodu kaam kiya tha, almost 8-10 features ko develop kiya tha, lekin nagarro ne mujhe 2.14 lakh rs ka appraisal diya aur mere ek friend ko, jo ki gym jata tha office timings mein, and 4 baje ghar chala jata tha, aur jiski coding skills bhi achi nahi thi, use 2.42 lakhs ka appraisal diya.
Is baat se main bahot zyada sadd gaya and maine appraisal review ki request daal di.
Appraisal review ki meeting 40-45 minutes chali and uske bad mera appraisal revise karke 2.5 lakhs kar diya.
Mujhe jo chahie tha, wo to mujhe mil gaya, lekin mujhe bahot hi bura feel hua ki itni mehnat, itna kaam karne ke baad bhi, mujhe thode se appraisal ke liye ladna pad raha hai.
Mujhe ye feel hone laga ki nagarro ko meri worth nahi hai, aur maine ye decide kar liya ki kahin bahar hi job dhoondh leta hoon.
And 2019 mein maine switch kar liya.
Switch ki story next post mein batata hoon.
Comments
Post a Comment