Managers mujhe shuru se zyada ache nahi lagte
Hello doston,
Agar aap corporate mein job kar rahe ho to aapko ek prani ka saamna roz karna padega jiska naam hai manager.
Manager ka kaam hota hai aapko tasks assign karna, aapki performance ko validate karna and aapka feedback company ko dena jisse ki company ye decided kar sake ki aapko kitna appraisal dena hai.
Mera first proper manager mujhe bahot hi zyada under confident way mein treat karta tha.
Mujhe ghatiya se ghatiya kaam pakda tha.
Developer hone ke bad bhi mujhe koi development ka task nahi deta tha aur mujhe testing karwata tha.
Bahot hi zyada selfish tha and mere paas koi option nahi tha uski baat maanne ke ilawa because salary to mil rahi thi na.
Main bahot hi zyada unhappy tha us project mein aur maine kahin na kahin soch lia tha ki main company ko quit kar doonga.
Uske ilawa us manager ka behaviour aur aawaz bhi bahot zyada down market thi.
Mujhe aise logon ke sath kaam karna bilkul nahi pasand, lekin phir bhi mujhe uske sath baat karni padti thi because wo mera manager tha.
Comments
Post a Comment