Maine drop year kyun de diya rank lane ke bad bhi?

Hello doston,

Meri AIEEE mein 94000 ke aas paas rank thi aur IPUCET mein 13150 rank thi.

AIEEE se to mujhe Delhi NCR mein koi acha college nahi mil raha tha, lekin IPUCET se mujhe GPMCE ya HMRITM mil jata.

But wo second counselling mein milta.

Mujhe koi guide karne wala nahi tha, mujhe to ye bhi nahi pata tha ki IPU ki second counselling mein 24000 rank walon ko bhi seat mil jati hai.

Main AIEEE ke through murthal mein admission lene gaya to mere uncle ne mujhe suggest kiya drop dene ko, ki next year ache se padh kar better rank le aana.

Aur main maan gaya!

Mujhe laga coaching chahie and maine narayana coaching mein Rs. 75,000 deke admission le lia.

Total waste of money.

Classes vagerah wo karate hain, notes vagerah wo dete hain, lekin bhai jab tak khud na padho to kuch nahi milne wala.

Maine self study nahi karta tha aur ghar par bas blogging hi karta rehta tha saara din.

To obviously mere second year bhi IIT ya AIEEE mein koi todu rank nahi aayi.

Mujhe ek tuition ka friend mila tha jisne kaha ki second counselling mein apply kar de lekin maine tab tk narayana ki fee bhar di thi and main parents ko ye nahi bol sakta tha ki maine phir se apna decision change kar liya hai.

Bahot hi double dholki type ki decision making thi meri.

Na khud ke liye best decision le pata tha, aur na hi apne passion ke liye lad pata tha.

Kabhi passive life jee raha tha main us time.

Bas phir, is liye maine drop de dia aur apne ek saal total waste kar diya.

Loser hi tha yar main is decision ko lene ke liye.

Comments

Popular posts from this blog

Nagarro Tried to Settle Me in Business Intelligence (BI) and DevOps

I Met a Lot of Fake People at Nagarro

10th aur 11th ki studies ke level mein zameen aasmaan ka farak hai!