Career Saathi: Maine ye blog likhna kyun start kiya?
Hello doston,
Main bharat mein rehne wala ek aam nagrik hoon jisne school mein kuch khaas padhai nahi kari thi.
Science stream liya tha lekin ache se, focus ke sath padhai nahi kari thi, jiski vajah se mere marks nahi aa paye.
Main phir engineering ke entrance exams diye, aur ok-ok rank aayi usme.
AIEEE mein meri 94000 ke karib rank aayi thi, general category mein aur IPUCET mein 13150 rank aayi thi.
Mujhe guide karne ke liye koi nahi tha jiski vajah se main ek drop year de dia, phir se engineering entrance exam ki tyaari ke liye.
Agar mujhe koi guide karne ke liye hota to wo mujhe drop year nahi dene deta aur mujhe bata ki IPUCET ki 13150 rank mein bhi mujhe koi na koi college mil jaega B.Tech. karne ke liye.
Isse mera ek drop year bach jata.
Next year meri AIEEE mein 2.5 lakh se zyada rank thi, pata nahi kyun, aur IPUCET mein 10442 rank thi jisse mujhe BPIT, GSSIPU ke ECE branch mein admission mil gaya.
Mujhe aisa lagta hai ki agar koi mujhe guidance dene wala time se mil jata, to main kaafi jaldi life mein focus kar leta apni career par.
Mujhe to aise kam log mile, lekin ab kyunki main apni life mein settled feel karta hoon, to maine socha ke bharat ke baki logon ke liye ek guidance blog likha jaye, jiska naam maine rakha hai - careersaathi.
Subscribe kar lo!
Keywords: #CareerSaathi #ExamTips #IPUCET #StudentSuccess #SelfStudy #CareerGuidance #EntranceExamPrep #StudyMotivation #IndiaStudents
Comments
Post a Comment