India mein hero worshipping ka bahot bada epidemic hai

Hello doston,

India aur Indians mein maine ek cheez observe kari hai ki yahan hero worshipping ka bahot bada epidemic faila hua hai.

Cricket mein chahe Virat Kohli ho ya fir Politics mein Narender Modi, log skilled logon ko bhagwaan maan lete hain.

Cricket mein kaun jitayega - Virat jitayega. Politics mein kon jitayega - Modi jitayega.

Aise nahi hota bhai, ek bande ke upar agar tum puri responsibilities daal doge to wo bilkul bhi theek nahi hai.

Cricket ko playing 11 jitata hai, sirf ek Kohli and bharat ko pura cabiner of ministers chalate hain, sirf ek Narender Modi nahi.

Ye hero worshipping humein apni hi capabilities ka use karne se rok deti hain.

Humein lagta hai ki agar koi problem hai, to wo koi hero aake solve karega. Aisa nahi hota bhai, khud apna hero banna padta hai aur problem ko solve karna padta hai.

Jo leader hota hai, wo bas raasta dikhata hain, chalna to khud hi padta hai aur hero bhi khud hi banke jeetna padta hai.

I think school time se hi maine hero worshipping karna band kar diya tha. Agar koi banda acha lage to uski tareef kardo, lekin usko hero manna galat hai.

Agar kisi ko hero manna hai, jo ki apki life change kar sakta hai, to khud ko hero mano.

Agar tum sab, jo ye blog post padh rahe ho, khud ko apni life ka hero bana loge aur apni life ki problems ki full ownership le loge, to main guarantee de ke keh raha hoon ki tumhe apne life ki problems ko solve karke ke raste bhi milne lagenge.

Agar baat achi lagi to thoko taali!

Comments

Popular posts from this blog

Nagarro Tried to Settle Me in Business Intelligence (BI) and DevOps

I Met a Lot of Fake People at Nagarro

10th aur 11th ki studies ke level mein zameen aasmaan ka farak hai!