Ek IIT ke ladke se Nagarro mein head to head compete kiya and jeeta!

Hello doston,

Mujhe nagarro mein mera pehla java ka project chance se mila tha.

Training meri .net mein hui thi, lekin java mujhe ata tha, to maine wo project accept kar liya.

Us din main director ke samne akela nahi gaya tha. Ek IIT ka ladka bhi sath mein tha.

Wo vaise IIT mein disability quota se gaya tha, so he was not the prime IIT engineer, but still director ne uska naam diary mein note kiya, ki ye IIT se hai.

Maybe clients ko batane mein proud feel hota hoga. And usse project milna easy ho jata hoga.

Usi din maine decide kiya ki main is IIT ke bande se pehle aur better apna POC project tyaar karke dikhaunga.

Maine backend tech choose kia, jisme java aur spring boot mein coding karni hoti hai.

And usne Angular js ko choose kiya, jo ki ek frontend ki technology hai.

Maine apna POC project 3 din mein khatam kar diya and usko 7 din lage.

Bas vhin se mujhe confidence aa gaya ki baba, IIT se hone se kuch nahi hota, real life mein kaam karne se hota hai.

Jo zyada badia aur zyada jaldi kaam karega, wohi jeetage.

IIT ki degree se opportunities better milti hain, lekin iska matlab ye nahi ki jo IIT ke nahi hain, wo life mein kuch achieve nahi kar sakte.

Ab thoda success taste karne ke bad, mujhe lagta hai ki main IIT ke anti-portfolio mein to aa hi gaya.

Anti-portfolio mane wo log jinko IIT ne accept nahi kiya tha, lekin phir bhi wo ek successful engineer bane.

Comments

Popular posts from this blog

Nagarro Tried to Settle Me in Business Intelligence (BI) and DevOps

I Met a Lot of Fake People at Nagarro

10th aur 11th ki studies ke level mein zameen aasmaan ka farak hai!