College mein mere kitne marks aye the? and kya placement mili?

Hello doston,

College mein bhi jakar obviously maine ekdum se to padhna start nahi kiya.

Maine to blogging kar raha tha full time, to kaafi decent paisa ban raha tha wahan se.

At least 30-40K per month.

To life bahot mast chal rahi thi.

Second year of college mein maine ek second hand Maruti swift car bhi khareed li thi.

College mein students school ki tarah padhte the starting mein lekin bad mein sab line par aa gaye.

Mere first year mein 70+ percent marks the.

Second year mein 60+ percent marks the and ek backlog bhi aayi thi.

Uske bad main studies ko lekar kaafi serious ho gaya ki bhai marks lane hain and backlog kabhi life mein nahi aana chahie.

Maine self study karna seekha and third year mein meri 75+ percent thi and fourth year mein 85+ percent thi.

Mere college mein kuch hi companies aati thi, IT service based jo ki 3-3.5 LPA ka package offer karti thi and maine ye dimaag lagaya ki baba DSA and coding agar mujhe aati hai, to mujhe companies reject nahi kar payengi.

And wohi hua! first attempt mein maine CSC naam ki company mein placement crack kar li and winner wali feeling le li.

Obviously mere sath ke log mujhse sadd gaye, but sadne do, maine sabka theka thodi na le rakha.

Actually mein meri life mein mujhe success tab milni start hui jabse main selfish banna start hui.

Duniya gayi apni G marane, main jo karunga bas apne benefit ke liye karunga. Agar success hui, to wo meri success and agar failure hua, to bhi wo mera failure.

And is mindset ne mujhe aage bhi life mein kaafi success dilwaya.

Comments

Popular posts from this blog

Nagarro Tried to Settle Me in Business Intelligence (BI) and DevOps

I Met a Lot of Fake People at Nagarro

10th aur 11th ki studies ke level mein zameen aasmaan ka farak hai!