Ad hominem
Hello doston,
Ye word padh kar aapko kaafi weird lag raha hoga, kyunki ye koi normal word nahi hai.
Ek bar main apne cousin se kuch discuss kar raha tha.
Usko main apne Amazon ke interview ke bare mein bata raha tha and in that conversation usne kaha ki Apple mein kyun nahi try karta.
Maine kaha ki Apple hire nahi karta, poach karta hai. Chor hai Apple.
Is baat par pata nahi wo kyun offend ho gaya and usne mere statement ki jagah mujhe hi attack karna start kar diya.
Bolne laga ki aise to har company chor hai.
Tu Samsung ka phone use kar raha hai, wo bhi chor hai, to tu kyun chor company ke products ko use kar raha hai.
Mujhe samajh hi nahi aaya ki koi banda itna low IQ kaise ho sakta hai.
To maine argument ko wahin par end kar diya and decide kiya ki is cousin se main kabhi bhi, kuch bhi discuss nahi karunga.
Duniya mein bahot log hain baat karne ke liye, jisse bhi baat karne ke bad bura feel hota hai, us bande se baat karni chhod deni chahie.
Ye sabse simple solution hai apne peace of mind ko protect karne ka.
Comments
Post a Comment