9th class mein maine kaise duniya ko explore kia?
Hello doston,
9th class mein aake, starting mein to mujhe aisa laga tha ki main bahot tagdi padhai karunga aur maximum marks score karke school ka topper ban jaunga.
Mere 8th mein 83% marks aaye the, aur main top 5 students mein tha apni class mein.
Meri english ki teacher kaafi shocked thi ye jaan kar ki maine itna score kiya and I was like halke mein le rahe ho kya mujhe?
9th mein high score karke ke liye starting mein maine Sanskrit subject le liya tha.
Mujhe laga, jab 8th mein maine sanskrit padh liya, to 9th mein bhi padh loonga, but aisa bilkul nahi hua.
Jaise hi maine 9th class mein pehli sanskrit ki class attend kari to mujhe kuch bhi samajh nahi aya aur mera dimaag kharab ho gaya.
Mujhe laga, arey yaar! isme to bahot zyada ratta lagana padega. Aur mujhe dar lagne laga ki meri percentage achi hone ki jagah aur kharab ho jayegi.
To maine apni teacher se baat kia aur hindi mein shift ho gaya.
Hindi section mein padhne wale bache kam the, aur masti karne wale bache zyada the.
Kuch gunde badmaash bhi the jo group bana kar rakhte the aur ladai jhagde mein involved rehte the.
Na mujhe zyada padhne wale bachon ke sath rehna tha, aur na hi gunde badmaashon ke sath. Mujhe thoda alag rehna hi pasand tha.
Maine 9th class mein padhai se thora dhyaan hatakar, english music, english movies, rap songs, rock songs, alternative rock songs, in sab cheezon mein apna dhyaan divert kar dia, aur isse mujhe global culture ke baare mein pata chala.
Global culture mein mujhe aise kayi examples mile jinhone studies mein average perform karne ke bawjood bhi life mein success ko achieve kia tha.
Aur wahan se mera ek perception bana ki padhai ke ilawa bhi duniya mein skills hain jisse aap life mein successful ban sakte ho.
9th class mein kuch friends the mere, but aisa koi gehra friend nahi tha.
To maine padhai bhi kari vaise to, 81.4% aye the mere and maine global culture ko bhi kaafi explore kia.
Linkin park, Metallica, Backstreet boys, Nickelback, in sab ke music aur lifestyles mujhe bahot zyada attract krte the.
Comments
Post a Comment