8th class tak main career mein kya ban-na chahta tha?
Hello doston,
Bachpan se mere role models mere cousins rahe the.
Mera ek cousin ISM Dhanbad, jise IIT Dhanbad ke naam se jana jata hai, wahan se B.Tech. ECE kar raha tha.
Usne mujhe Grade 6 mein bola ki video games vagerah mat khela kar zyada, tv par cartoons vagerah mat dekha kar, agar dekhna hi hai to discovery channel aur natgeo dekha kar.
Maine dekhna start kia to mujhe natural sciences mein bahot interest aane laga.
Grade 6 mein hi mujhe ye clarity aa gayi thi ki main science field mein hi kuch karunga.
Grade 8 tak aate aate, mere mann mein ye aaya ki doctor ban jata hoon.
Doctor ek acha professional hai jisse humanity ki bahot help hoti hai.
Lekin, jab main Grade 9 mein aya, to mujhe music, gadgets, video games, movies etc. ki hawa lag gayi aur mera focus padhai se shift hokar, thoda maza masti ke towards shift ho gaya.
Mujhe grade 9 mein ye pata laga ki doctor ban-ne ke liye to 5-8 years tak padhai karni padti hai.
And maine ye socha ki doctor ban-na cancel, science mein kuch aur kar lenge, jisse ki jaldi se job lag jaye, paise aane shuru ho jae, jisse ki main gadgets, videos games, phones etc. khareed paun aur life ko enjoy kar paun.
Mere father ne bhi mujhe demands ko fulfil karna kam kar diya tha 8th class tak, to paison mein kaafi interest aane laga tha mujhe.
Aur is tareeka se mera focus padhai se thoda lose hona start ho gaya.
Mere marks 9th class mein thode kam aye the second term tak, lekin maine ache se padhai karke usko bacha liya, aur 81.4% ke aas paas score kia tha.
Which is not at all bad!
Comments
Post a Comment